Wednesday, June 13, 2007

Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Ham Hain
rukh havaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain

pahale har chiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke ham hain

waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
kis ko maloom kahan ke hain kidhar ke ham hain

chalte rahte hain ke chalna hai musafir ka naseeb
sochte rahte hain ke kis raahguzar ke ham hain

gintiyon mein hi gine jate hain har daur mein ham
har qalamkar ke benam khabar ke ham hain


- Nida Fazli

No comments:

Post a Comment